Popular Posts

Powered By Blogger

Tuesday, February 15, 2011

Poem's from the movie " Udaan "

Udaan Movie 2010 Poem 1

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein ,Bichhi hui hain lamhon ki lawn par

Nange pair unpar chalte-chalte ,Itni door chale aaye

Ki ab bhool gaye hain ki ,Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the. ,Thodi si naazuk hai abhi bhi.

Aur nazuk hi rahegi ,In khatti-meethi yaadon ki shararat

Jab tak inhe gudgudati rahe. ,Sach, bhool gaye hain

Ki joote kahan utaare the. Par lagta hai, Ab unki zaroorat nahin.


Udaan Movie 2010 Poem 2

Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta toh khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Meri tarah khud par hota zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.

15 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. I have extended the second poem a bit....
    Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
    Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
    Yaadon mei uski Jo bechaen hote, chalte chalte Jo tum theher jaate,
    Baarish ki boondo mei aansu chhupaate, toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon.

    Jo gam ke dino mei bhi tum muskuraate toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Vo kaala chashma hatake duniya dekh paate toh tum jaan lete mai kya sochta hoon.
    Zid ka tumhare jo parda sarakta ,khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
    Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

    Aadatein tumhaari har mode pe fisalti
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Hifazat ki tumhaari Jo bediyaan pighalti
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Aasaan raston ki khwaaish Na rehti
    Khud hi se baahar Jo tum nikal paate
    Apni aakhon ko aankhein padhna sikhaate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hu

    Mera khayal Jo tum poochh paate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Baat karne ki mujhse Jo himmat jut'aate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Chhaya toh milti darakhton ki raah mei
    Dhoop mei bhi thoda Jo tum chal paate
    Jo ujaale se tum Na yu aankhein churate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hu

    Milke mujhse Jo tum khilkhilate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Museebat mei milke bhi gale lgaate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon
    Dur hone ka yun dukh Na hota,
    Thoda aur mera Jo saath nibhate,
    Saath mei mere kuchh der chal paate,
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hoon.

    Raaton mei jag ke Jo gappe ladate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hu
    Baadal ki garjan se tum kaanp jaate
    Toh tum jaan lete Mai kya sochta hu
    Apne hi raste pe chlte agar tum
    Logon ki baaton ko sun hi Na paate
    Baarish mei chhat pe patange udate toh tum jaan lete.....

    ReplyDelete
  3. I want the poem recited in hospital to his younger brother.

    ReplyDelete
  4. https://alextales408.blogspot.com/?m=1


    Try this link..

    ReplyDelete